Thursday, January 20, 2011

aasheerwaad

blessings of elders... badon ke pair chuo.. aasheerwaad milega... i dont know why we believe in this..

bachpan se hi logon ko sikhaaya jaata hai ki badon ke pair chuo, take their blessings, marks acche aayenge, u'll be successful... give money to beggars u'll get their blessings... some give chappatis to dogs and cows(gau maata!!!)... punya milega... agla janam bhi accha ho jaayega abhi se!! :D

i don't like this in the first place because it simply makes everybody selfish from the start. Har kaam bas apne liye karo , touch the feet not out of respect, but out of selfishness. and When we grow up, we say 'i dont like selfish ppl.'...

and u'll say that u do it out of respect, bol lo...

i also do it , just to 'show' that i respect them. Karta hun ya nahi vo to bas mujhe pata hai...

Agar sachin century maarta hai, ground me standing ovation milti hai, agar tv pe dekh rahe hain to bhi khade hote hain, lekin tabhi ,jab aur log bhi baithe hon.
ground me sachin ko dikhaane ke liye, aur tv ke saamne logon ko dikhaane ke liye. Agar akele baithe ho to koi khada nahi hoga.
similar case is with touching the feet of elders, whether u respect them or not, u show that u do.

accha, vo sab to theek hai, but why do u believe that blessings jaisi cheez exists karti hai!!!??
kyunki mummy kehti hai :D

i think ki logon ne dekha hoga ki bacche haath se nikalte jaa rahe hain, boodha hote hi chod dete hain, to blessings jaisi cheez nikaal do, bacche dhang se baat karte rahenge.
it seems to me that this is the reason for the 'invention' (not discovery) of blessings... if u have a better one, do tell me.

No comments:

Post a Comment